Pehli baar main ghar se itne lambe samay ke liye door rahi hun… magar… shayad door jaana zaroori tha… saath tootna zaroori tha.. ek nayi zindagi ke liye, ghar chootna zaroori tha.. par is sab ke baad bhi, kai baar, mujhe ghar yaad aata hai..
Jab raat ko sote samay koi haath sar nahi sehlata
Aur der tak jaagne par subah koi daant nahi lagata
tab mujhe ghar yaad aata hai
Jab school bus se bacche apni maa ke paas utarte hain
Aur mummy papa ki pukaarein kaan bharte hain
Tab mujhe ghar yaad aata hai
Jab sar rakhne ko god meelon door hoti hai
Aur milne ki iccha pal pal jhanjhodti hai
Tab mujhe ghar yaad aata hai
Khaane ke har niwala jab anjaana sa lagta hai
Aur thaali mein roti aage se koi nahi rakhta hai
Tab mujhe ghar yaad aata hai
Jab choone ko maa aur pakadne ko pita ka haath nahi hota
Aur apne hoke bhi jab koi saath nahi hota
Tab mujhe ghar yaad aata hai
Maa ki lori bas jab yaadon mein reh jaati hai
Aur raat ko bas dinbhar ki thakaan sulaati hai
Tab mujhe ghar yaad aata hai
Jab darwaaze pe koi taak lagaye khada nhi rehta
Aur din kaisa raha, ye koi nhi kehta
Tab mujhe ghar yaad aata hai
Taanon se bhari aawaz jab chup ho jaati hai
Aur gudiya uski bas aankhein nam kar so jaati hai
Tab mujhe ghar yaad aata hai
Mujhe ghar yaad aata hai.. behad yaad aata hai..
Par, sach ab yahi hai
Ki ghar ki ab sirf yaadein reh jayengi
Jahan haq tha apne kabhi, ab wahan bas mehman ban ke jaayenge..
Par phir bhi,
Jab khushiyan baatne ko koi nahi hota
Aur sapnon ke beech apna koi nahi hota
Tab mujhe ghar yaad aata hai
Tab mujhe ghar yaad aata hai
– MissBalance (Jiyana Jethani)



Leave a Reply